Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1185b87963bb7de4a0d1b613119d7f3f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ain-mumkin Hai Kisi Tarz-e-ada Mein Aae - Aslam Ansari Poetry In English - Darsaal

Ain-mumkin Hai Kisi Tarz-e-ada Mein Aae

ain-mumkin hai kisi tarz-e-ada mein aae

qissa-e-dard-e-wafa saut-o-sada mein aae

rut badalte hi nae rang ke manzar ubhre

kuchh parinde bhi nai mauj-e-hawa mein aae

hum to aaina-numa the hi safa-keshi mein

nam kuchh aur bhi arbab-e-safa mein aae

ishq ta-haal to matruk nahin ho paya

inqilabaat bhi go rah-e-wafa mein aae

kuchh gul-e-nilofari jhil ki tariki se

apni danist mein aqlim-e-baqa mein aae

kya kahen us ko tazadat-e-zamana ke siwa

kitne darwesh the jo shahi qaba mein aae

KHwab aankhon mein liye hum bhi ba-taid-e-junun

kaise ek jalwa-gah-e-KHwab-numa mein aae

shorish-e-ahd mein ye tazkira-e-ishq-e-wafa

jaise naghma sa koi bang-e-dara mein aae

KHud ko gum kar ke kisi aur ke pa lene tak

marhale aur bhi takmil-e-ana mein aae

(1194) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ain-mumkin Hai Kisi Tarz-e-ada Mein Aae In English By Famous Poet Aslam Ansari. Ain-mumkin Hai Kisi Tarz-e-ada Mein Aae is written by Aslam Ansari. Read famous Poem Ain-mumkin Hai Kisi Tarz-e-ada Mein Aae for youth and Student by Aslam Ansari. Free Download Ain-mumkin Hai Kisi Tarz-e-ada Mein Aae in PDF.