Pau PhaTte Hi Train Ki SiTi Jab Kanon Mein Gunjti Hai

pau phaTte hi train ki siTi jab kanon mein gunjti hai

sarwat teri yaad mere dil ke KHanon mein gunjti hai

shahzadi ke hijr mein likhhe kuchh lafzon ki hairani

shahzadi ke ghar tak aate mai-KHanon mein gunjti hai

shahzadi ke kanon mein jo baat kahi thi ek tu ne

baad tere wo baat tere hi afsanon mein gunjti hai

jaan se jaane se pahle ek aah bhari hogi tu ne

sham Dhale jo dur kahin ab viranon mein gunjti hai

(718) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Pau PhaTte Hi Train Ki SiTi Jab Kanon Mein Gunjti Hai In English By Famous Poet Asima Tahir. Pau PhaTte Hi Train Ki SiTi Jab Kanon Mein Gunjti Hai is written by Asima Tahir. Read famous Poem Pau PhaTte Hi Train Ki SiTi Jab Kanon Mein Gunjti Hai for youth and Student by Asima Tahir. Free Download Pau PhaTte Hi Train Ki SiTi Jab Kanon Mein Gunjti Hai in PDF.