Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f3797783a01c100c9663460ba9e31dc3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kis Ke Matam Mein Ro Rahi Hai Raat - Asima Tahir Poetry In English - Darsaal

Kis Ke Matam Mein Ro Rahi Hai Raat

kis ke matam mein ro rahi hai raat

chhup ke banhon mein so rahi hai raat

dukh hai Thahra hua nigahon mein

teri yaaden bilo rahi hai raat

mujh ko KHwabon ke bagh mein la kar

ghane jangal mein kho rahi hai raat

raushni ne lagae jo ilzam

bahti aankhon se dho rahi hai raat

is ko banhon mein bhar rahi hun main

chand KHud mein samo rahi hai raat

wasl ka din tulua hona hai

main to KHush hun ki ho rahi hai raat

(772) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Kis Ke Matam Mein Ro Rahi Hai Raat In English By Famous Poet Asima Tahir. Kis Ke Matam Mein Ro Rahi Hai Raat is written by Asima Tahir. Read famous Poem Kis Ke Matam Mein Ro Rahi Hai Raat for youth and Student by Asima Tahir. Free Download Kis Ke Matam Mein Ro Rahi Hai Raat in PDF.