Apni Haalat Pe Aansu Bahane Lage
apni haalat pe aansu bahane lage
sard raaton mein KHud ko jagane lage
surKH taron ke hamrah kar ke safar
KHwab-zaron se kyun aage jaane lage
dur bajne lagi hai kahin bansuri
hum bhi zindan mein git gane lage
jo basarat basirat se mahrum hain
shahr ke aainon ko sajaane lage
hum ne jab haal-e-dil un se apna kaha
wo bhi qissa kisi ka sunane lage
nisti ka sitam koi kam tha jo tum
apni hasti ka dukh bhi manane lage
jab bujhi meri aankhon ki lau 'asima'
tera manzar bhi jalwa dikhane lage
(781) Peoples Rate This