Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e871042bb9a6057aee3eb752aefe3712, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Apni Aankhen Jo Band Kar Dekhun - Asima Tahir Poetry In English - Darsaal

Apni Aankhen Jo Band Kar Dekhun

apni aankhen jo band kar dekhun

sabz KHwabon ka main safar dekhun

Dubne ki na tairne ki KHabar

ishq-dariya mein bas utar dekhun

baad us ke nahin KHabar kya hai

aaine tak to chashm tar dekhun

dil mein bajta hua dhaDakta hua

apni tanhai ka gajar dekhun

bain karti hui bahaaron mein

KHud mein ek shor-e-KHair-o-shar dekhun

KHwab ki lahlahati wadi mein

KHushbuon se bana nagar dekhun

aasman le raha hai angDai

titliyon ke nagar mein Dar dekhun

mauja-e-gul ke hath mein lipTi

'asima' dasht ki KHabar dekhun

(707) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Aankhen Jo Band Kar Dekhun In English By Famous Poet Asima Tahir. Apni Aankhen Jo Band Kar Dekhun is written by Asima Tahir. Read famous Poem Apni Aankhen Jo Band Kar Dekhun for youth and Student by Asima Tahir. Free Download Apni Aankhen Jo Band Kar Dekhun in PDF.