Tum BhaTak Jao To Kuchh Zauq-e-safar Aa Jaega
tum bhaTak jao to kuchh zauq-e-safar aa jaega
muKHtalif raston pe chalne ka hunar aa jaega
main KHala mein dekhta rahta hun is ummid par
ek din mujh ko achanak tu nazar aa jaega
tez itna hi agar chalna hai tanha jao tum
baat puri bhi na hogi aur ghar aa jaega
ye makan girta hua jab chhoD jaenge makin
ek parinda baiThne diwar par aa jaega
koi meri muKHbiri karta rahega aur phir
jurm ki taftish karne be-KHabar aa jaega
ho gaya miTTi agar mera pasina sukh kar
dekhna mere daraKHton par samar aa jaega
bandagi mein ishq si diwangi paida karo
ek dam 'asim' duaon mein asar aa jaega
(757) Peoples Rate This