Samne Rah Kar Na Hona Masala Mera Bhi Hai
samne rah kar na hona masala mera bhi hai
is kahani mein izafi tazkira mera bhi hai
be-sabab aawargi masruf rakhti hai mujhe
raat din bekar phirna mashghala mera bhi hai
baat kar farhad se bhi intiha-e-ishq par
mashwara mujh se bhi kar kuchh tajraba mera bhi hai
kya zaruri hai andhere mein tera tanha safar
jis pe chalna hai tujhe wo rasta mera bhi hai
hai koi jis ki lagan gardish mein rakhti hai mujhe
ek nukte ki kashish se daera mera bhi hai
be-sabab ye raqs hai mera bhi apne samne
aks wahshat hai mujhe bhi aaina mera bhi hai
ek gum-karda gali mein ek na-maujud ghar
kucha-e-ushshaq mein 'asim' pata mera bhi hai
(836) Peoples Rate This