Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_651b1812715be33b9c4b3d847dce2b13, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Misr Firaun Ki Tahwil Mein Aaya Hua Hai - Asim Wasti Poetry In English - Darsaal

Misr Firaun Ki Tahwil Mein Aaya Hua Hai

misr firaun ki tahwil mein aaya hua hai

KHun pani ki jagah nil mein aaya hua hai

waqt be-waqt jhalakta hai meri surat se

kaun chehra meri tashkil mein aaya hua hai

pesh-bini hai ye ilham ke aaine ki

aks quran ka injil mein aaya hua hai

koi lamha mujhe tabdil kiye jata hai

kya taghayyur meri takmil mein aaya hua hai

sarguzisht-e-dil-e-tafrih-talab mein jaanan

zikr tera kisi tafsil mein aaya hua hai

meri aankhon mein uge KHauf-zada zard kanwal

shark ka aks meri jhil mein aaya hua hai

us ke mahsul pe dushman ki nazar hai 'asim'

jo ilaqa meri tahsil mein aaya hua hai

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Misr Firaun Ki Tahwil Mein Aaya Hua Hai In English By Famous Poet Asim Wasti. Misr Firaun Ki Tahwil Mein Aaya Hua Hai is written by Asim Wasti. Read famous Poem Misr Firaun Ki Tahwil Mein Aaya Hua Hai for youth and Student by Asim Wasti. Free Download Misr Firaun Ki Tahwil Mein Aaya Hua Hai in PDF.