HonTon Ko Phul Aankh Ko Baada Nahin Kaha
honTon ko phul aankh ko baada nahin kaha
tujhko teri ada se ziyaada nahin kaha
barta gaya hun sirf kisi sair ki tarah
tune mujhe safar ka irada nahin kaha
kahta to hun tujhe main gul-e-KHush-numa magar
KHush rang mausamon ka labaada nahin kaha
rahte hain sirf tang-nazar log jis jagah
us shahr-e-be-karan ko kushada nahin kaha
bandha har ek KHayal baDi sadgi ke sath
lekin koi KHayal bhi sada nahin kaha
meri bisat par to sabhi baadshah hain
maine kabhi kisi ko piyaada nahin kaha
wo aasman mizaj musafir hun aaj tak
maine teri zamin ko jada nahin kaha
(768) Peoples Rate This