Daman-e-gul Mein Kahin Khaar Chhupa Dekhte Hain
daman-e-gul mein kahin KHar chhupa dekhte hain
aap achchha nahin karte ki bura dekhte hain
hum se wo puchh rahe hain ki kahan hai aur hum
jis taraf aankh uThate hain KHuda dekhte hain
kuchh nahin hai ki jo hai wo bhi nahin hai maujud
hum jo yun mahw-e-tamasha hain to kya dekhte hain
log kahte hain ki wo shaKHs hai KHushbu jaisa
sath shayad use le aae hawa dekhte hain
zawiya dhup ne kuchh aisa banaya hai ki hum
sae ko jism ki jumbish se juda dekhte hain
is qadar tazgi rakhi hai nazar mein hamne
koi manzar ho purana to naya dekhte hain
ab kahin shahr mein 'asim' hai na 'ghaalib' koi
kis ke ghar jae ye sailab-e-bala dekhte hain
(726) Peoples Rate This