Agar Chubhti Hui Baaton Se Darna PaD Gaya To

agar chubhti hui baaton se Darna paD gaya to

mohabbat se kabhi tumko mukarna paD gaya to

teri bikhri hui duniya sameTe ja raha hun

agar mujhko kisi din KHud bikharna paD gaya to

zaKHira pusht par bandha nahin tumne hawa ka

kahin gahre samundar mein utarna paD gaya to

wo mujhse dur hota ja raha hai rafta rafta

agar us ko kabhi mahsus karna paD gaya to

tum is raste mein kyun barud boe ja rahe ho

kisi din is taraf se KHud guzarna paD gaya to

bana rakha hai mansuba kai barson ka tu ne

agar ek din achanak tujhko marna paD gaya to

tumhaari zid hai 'asim' wo nikhaare husn apna

agar us ke liye tum ko sanwarna paD gaya to

(1015) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Chubhti Hui Baaton Se Darna PaD Gaya To In English By Famous Poet Asim Wasti. Agar Chubhti Hui Baaton Se Darna PaD Gaya To is written by Asim Wasti. Read famous Poem Agar Chubhti Hui Baaton Se Darna PaD Gaya To for youth and Student by Asim Wasti. Free Download Agar Chubhti Hui Baaton Se Darna PaD Gaya To in PDF.