Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5b471205473fadefab5e2b6e9600d70f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ya Dar Mujhe Tera Hai Ki Main Kuchh Nahin Kahta - Asif-ud-Daula Poetry In English - Darsaal

Ya Dar Mujhe Tera Hai Ki Main Kuchh Nahin Kahta

ya Dar mujhe tera hai ki main kuchh nahin kahta

ya hausla mera hai ki main kuchh nahin kahta

hamrah raqibon ke tujhe bagh mein sun kar

dil dene ka samra hai ki main kuchh nahin kahta

kahta hai bahut kuchh wo mujhe chupke hi chupke

zahir mein ye kahta hai ki main kuchh nahin kahta

kahta hai tu kuchh ya nahin 'asif' se ye tu jaan

yan kis ko sunata hai ki main kuchh nahin kahta

(845) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ya Dar Mujhe Tera Hai Ki Main Kuchh Nahin Kahta In English By Famous Poet Asif-ud-Daula. Ya Dar Mujhe Tera Hai Ki Main Kuchh Nahin Kahta is written by Asif-ud-Daula. Read famous Poem Ya Dar Mujhe Tera Hai Ki Main Kuchh Nahin Kahta for youth and Student by Asif-ud-Daula. Free Download Ya Dar Mujhe Tera Hai Ki Main Kuchh Nahin Kahta in PDF.