Wahshat Mein Su-e-dasht Jo Ye Aah Le Gai
wahshat mein su-e-dasht jo ye aah le gai
kya kya kunen jhukane teri chah le gai
aae kabhi na rah pe kya jaaniye hamein
kidhar ko ye tabiat gumrah le gai
kabe mein bhi gae to hamein teri yaad aah
phir su-e-dair ai but-e-dil-KHwah le gai
us ne kahan bulaya tha ye is ke ghar hamein
nahaq zaban-e-KHalq ki afwah le gai
jarub-kash ne us ke na rahne diya mujhe
gardan nasim shakl-e-par-e-kah le gai
jun tir dil se aah jo nikle to kya kahun
bas jaan ko bhi apne wo hamrah le gai
'asif' chaman mein aate hi us rashk-e-gul ki yaad
kya jaaniye kidhar mujhe nagah le gai
(1033) Peoples Rate This