Talib Ho Wahan Aan Ke Kya Koi Sanam Ka
talib ho wahan aan ke kya koi sanam ka
ho jis ko bharosa na jahan ek bhi dam ka
kya main tujhe ahwal dil-o-jaan ka bataun
ab main to irada kiye baiTha hun adam ka
ki lakhon hain tadbir miyan hum ne wo lekin
chhuTa na ye dil bandha hua zulf ke KHam ka
ya wasl ho ya maut koi tarah to howe
kab tak rahun pamal main is dard-o-alam ka
jalne na diya aatish-e-gham se jigar-o-dil
kya kya kahun ehsan main is dida-e-nam ka
aaya jo nasha mai ka to shab aankh mein us ki
sau rang se bad-masti ka rang aan ke chamka
wasl us ka mayassar nahin sach kahta hai 'asif'
kyun apne tain rakhta hai masruf tu gham ka
(859) Peoples Rate This