Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_31395411cc76bacd69fa72f54d84e7f5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Saba Kahiyo Zabani Meri Tuk Us Sarw-qamat Ko - Asif-ud-Daula Poetry In English - Darsaal

Saba Kahiyo Zabani Meri Tuk Us Sarw-qamat Ko

saba kahiyo zabani meri Tuk us sarw-qamat ko

ki jab se dil liya aae na phir sahib-salamat ko

mere rone ko sun kar yun laga jhunjhla ke wo kahne

miyan ye jaan khana hai uTha do is malamat ko

jo milna hai to aa jao gale se lag ke so rahiye

nahin to kaam kya aaoge ai sahab qayamat ko

uThae sau tarah ke zulm aur jaur-o-jafa tere

kaha shabash bhi tu ne na meri istaqamat ko

hua main KHak ai 'asif' na pahuncha is ke daman tak

liye jaunga sath apne adam tak is nadamat ko

(854) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saba Kahiyo Zabani Meri Tuk Us Sarw-qamat Ko In English By Famous Poet Asif-ud-Daula. Saba Kahiyo Zabani Meri Tuk Us Sarw-qamat Ko is written by Asif-ud-Daula. Read famous Poem Saba Kahiyo Zabani Meri Tuk Us Sarw-qamat Ko for youth and Student by Asif-ud-Daula. Free Download Saba Kahiyo Zabani Meri Tuk Us Sarw-qamat Ko in PDF.