Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1ececb53e8a80e3b8826f6a72fb5d9c1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Milne Ko Tujhse Dil To Mera Be-qarar Hai - Asif-ud-Daula Poetry In English - Darsaal

Milne Ko Tujhse Dil To Mera Be-qarar Hai

milne ko tujh se dil to mera be-qarar hai

tu aa ke mil na mil ye tera iKHtiyar hai

jis jis ke pas dosto jis jis ka yar hai

behtar chaman se ghar mein isi ke bahaar hai

tum zaKHm-e-dil ki mere KHabar puchhte ho kya

tir-e-nigah dil ke to ab war-par hai

gar dushmani pe dost ne bandhi mere kamar

dushman hai ab jo koi mera dost-dar hai

lagti nahin palak se meri ab zara palak

aane ka is ke jab se mujhe intizar hai

ai shahsawar us ko bhi kar le tu ab shikar

ye said-e-dil bhi umr se umid-war hai

ye kuchh to haal tere diwane ka ab hua

jidhar ko jawe aah use mar mar hai

ai gul tujhe aziz hun rakhta main is liye

yani ki tujh mein ek ramaq bu-e-yar hai

ye kis ke dil ko chhin ke karte hain paemal

in zalimon ka aah yahi karobar hai

'asif' KHuda ke waste mat de buton ko dil

ye wo hain jin ke qaul ka kya e'tibar hai

(1283) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Milne Ko Tujhse Dil To Mera Be-qarar Hai In English By Famous Poet Asif-ud-Daula. Milne Ko Tujhse Dil To Mera Be-qarar Hai is written by Asif-ud-Daula. Read famous Poem Milne Ko Tujhse Dil To Mera Be-qarar Hai for youth and Student by Asif-ud-Daula. Free Download Milne Ko Tujhse Dil To Mera Be-qarar Hai in PDF.