Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3e4dc4127e26d1cbed30f86ad886136b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mar Gaya Gham Mein Tere Hae Mein Rota Rota - Asif-ud-Daula Poetry In English - Darsaal

Mar Gaya Gham Mein Tere Hae Mein Rota Rota

mar gaya gham mein tere hae mein rota rota

jeb-o-daman ke tain ashk se dhota dhota

ghair-az-KHar-e-sitam kuchh na uga aur kahin

kisht-e-ulfat mein phira ashk mein bota bota

rafta rafta hua aaKHir ke tain ko muflis

naqd ko umr ki main hijr mein khota khota

garche farhad tha aur qais junun mein mashhur

ek din main bhi pahunch jaunga hota hota

chaunk 'asif' ne banaya ajab apna ahwal

uTh gaya pas sin to subh jo sota sota

(931) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mar Gaya Gham Mein Tere Hae Mein Rota Rota In English By Famous Poet Asif-ud-Daula. Mar Gaya Gham Mein Tere Hae Mein Rota Rota is written by Asif-ud-Daula. Read famous Poem Mar Gaya Gham Mein Tere Hae Mein Rota Rota for youth and Student by Asif-ud-Daula. Free Download Mar Gaya Gham Mein Tere Hae Mein Rota Rota in PDF.