Kya Fash Karun Gham-e-nihan Ko
kya fash karun gham-e-nihan ko
payan nahin meri dastan ko
qisse ko na puchho mere hargiz
yara hi nahin dil-o-zaban ko
darpai hain nasihaton ke yarab
samjhaun main kyun ke dostan ko
go hum ne silaya jeb-o-daman
kya kijiyega chashm-e-KHun-fishan ko
ho gar na wo shama-ru hi to phir
kya aag lagaun dud-man ko
guzra tha udhar se kal jo shayad
aaya tha wo mere imtihan ko
aae to abhi the mere sahab
aisi jaldi chale kahan ko
ai yaro samajh ke bolo us bin
main jaunga bagh-o-bostan ko
'asif' abhi main ne kya kaha tha
Tuk band nahin teri zaban ko
(798) Peoples Rate This