Kis Qadar Dard Ke Shab Karta Tha Mazkur Tera
kis qadar dard ke shab karta tha mazkur tera
wo hi bimar tera KHasta-o-ranjur tera
be-KHabar ab bhi shitabi se pahunch Darta hun
kushta-e-hijr na ho ye kahin mahjur tera
ye na aane ke bahane hain sabhi warna miyan
itna to ghar se mere kuchh nahin ghar dur tera
nichi nazron se teri Darta hun kya kuchh na karen
dekh lena to yahan sab ko hai manzur tera
aankhen in rozon mein sach kahiyo laDaen kis se
be-tarah jhamke hai kuchh dida-e-maKHmur tera
jis ki tu yari kare yari-e-do-jag wo kare
nasir-e-har-do-jahan howe hai mansur tera
shash-jihat tujh sati mamur hai allah allah
jhamke hai chaaron taraf nam-e-KHuda nur tera
(797) Peoples Rate This