Ghair Par Lutf Kare Hum Pe Sitam Ya Qismat
ghair par lutf kare hum pe sitam ya qismat
tha nasibon mein hamare ye sanam ya qismat
yar tu yar nahin baKHt hain so ulTe hain
kab talak hum ye sahen dard-o-alam ya qismat
kucha-gardi se use shauq hai lekin gahe
is taraf ko nahin rakhta wo qadam ya qismat
kucha-e-yar mein thoDi si jagah de ai baKHt
mangta tujh se nahin mulk-e-ajam ya qismat
jaan-o-dil mein se nahin ek bhi ab nek-nasib
donon kam-baKHt hue aa ke baham ya qismat
'asif' ab aur lage karne taraqqi din raat
shamat-e-baKHt hui meri to kam ya qismat
(894) Peoples Rate This