Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8699197f296a2f8fd6bc2bfa85ad3137, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aata Hai Tegh Hath Mein Wo Jang-ju Liye - Asif-ud-Daula Poetry In English - Darsaal

Aata Hai Tegh Hath Mein Wo Jang-ju Liye

aata hai tegh hath mein wo jang-ju liye

jata hun main bhi sar ke tain ru-ba-ru liye

gulzar yak-ba-yak jo mahakne laga hai yun

sach kah saba tu phirti hai yan kis ki bu liye

soe kabhi na sath hamare KHushi se tum

jawenge gor mein yahi hum aarzu liye

deta nahin hai chain ilahi main kya karun

phirta hun raat-din dil-e-betab ku liye

'asif' na chhoD dast-e-saKHawat ko zinhaar

laya hai kuchh na sath na jawega tu liye

(880) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aata Hai Tegh Hath Mein Wo Jang-ju Liye In English By Famous Poet Asif-ud-Daula. Aata Hai Tegh Hath Mein Wo Jang-ju Liye is written by Asif-ud-Daula. Read famous Poem Aata Hai Tegh Hath Mein Wo Jang-ju Liye for youth and Student by Asif-ud-Daula. Free Download Aata Hai Tegh Hath Mein Wo Jang-ju Liye in PDF.