Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_55d3cb4beca8775be7b42d92b3181c3e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Moajiza Bhi Kisi Roz Kar Hi Jaana Hai - Asif Shafi Poetry In English - Darsaal

Ye Moajiza Bhi Kisi Roz Kar Hi Jaana Hai

ye moajiza bhi kisi roz kar hi jaana hai

tere KHayal se ek din guzar hi jaana hai

na jaane kis liye lamhon ka bojh Dhote hain

ye jaante hain ki ek din to mar hi jaana hai

wo kah raha tha nibhaega pyar ki rasmen

main jaanta tha ki us ne mukar hi jaana hai

hawa-e-sham kahan le chali zamane ko

zara Thahar ki hamein bhi udhar hi jaana hai

main KHwab dekhta hun aur sher kahta hun

hunar-waron ne ise bhi hunar hi jaana hai

(1019) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Moajiza Bhi Kisi Roz Kar Hi Jaana Hai In English By Famous Poet Asif Shafi. Ye Moajiza Bhi Kisi Roz Kar Hi Jaana Hai is written by Asif Shafi. Read famous Poem Ye Moajiza Bhi Kisi Roz Kar Hi Jaana Hai for youth and Student by Asif Shafi. Free Download Ye Moajiza Bhi Kisi Roz Kar Hi Jaana Hai in PDF.