Umr Sari Teri Chahat Mein Bitani PaD Jae
umr sari teri chahat mein bitani paD jae
ye bhi mumkin hai ki ye aag bujhani paD jae
meri is KHana-badoshi ka sabab puchhte ho
apni diwar agar tum ko girani paD jae
mere aada se kaho had se tajawuz na karen
ye na ho mujh ko bhi shamshir uThani paD jae
kya tamasha ho agar waqt ke sultan ko bhi
dar-e-insaf ki zanjir hilani paD jae
kash phir mujh se wo puchhen meri wahshat ka sabab
kash phir mujh ko wo taswir dikhani paD jae
dasht se shahr mein kuchh soch ke aana 'asif'
zindagi bhar ki riyazat pe na pani paD jae
(844) Peoples Rate This