Kar-e-duniya Se Gae Dida-e-bedar Ke Sath
kar-e-duniya se gae dida-e-bedar ke sath
rabt lazim tha magar nargis-e-bimar ke sath
qimat-e-shauq baDhi ek hi inkar ke sath
waqia kuchh to hua chashm-e-KHaridar ke sath
har koi jaan bachane ke liye dauD paDa
kaun tha aaKHir-e-dam qafila-salar ke sath
main tere KHwab se aage bhi nikal sakta hun
dekh mujh ko na parakh waqt ki raftar ke sath
zulm se hath uThana nahin aata hai agar
kuchh riayat hi karo apne giraftar ke sath
qimat-e-husn-o-ada jaan ki bazi Thahri
log aae the wahan dirham-o-dinar ke sath
had se baDh kar bhi taghaful nahin achchha hota
kuchh talluq bhi to rakhte hain parastar ke sath
(707) Peoples Rate This