Jamal-e-yar Ko Taswir Karne Wale The
jamal-e-yar ko taswir karne wale the
hum ek KHwab ki tabir karne wale the
shab-e-visal wo lamhe ganwa diye hum ne
jo dard-e-hijr ko iksir karne wale the
kahin se TuT gaya silsila KHayalon ka
kai mahal abhi tamir karne wale the
aur ek din mujhe us shahr se nikalna paDa
jahan sabhi meri tauqir karne wale the
hamari dar-badari par kise tajjub hai
hum aise log hi taqsir karne wale the
jo lamhe bit gae hain teri mohabbat mein
wo lauh-e-waqt par tahrir karne wale the
charagh le ke unhen DhunDhiye zamane mein
jo log ishq ki tauqir karne wale the
wahi charagh wafa ka bujha gae 'asif'
jo shahr-e-KHwab ki tamir karne wale the
(738) Peoples Rate This