Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3be10232ef42bc89efb509b6257be013, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aur Ab Ye Dil Bhi Mera Manta Hai - Asif Shafi Poetry In English - Darsaal

Aur Ab Ye Dil Bhi Mera Manta Hai

aur ab ye dil bhi mera manta hai

wo meri dastaras se mawara hai

chalo koi Thikana DhunDte hain

hawa ka zor baDhta ja raha hai

mere dil mein hai sahraon ka manzar

magar aankhon se chashma phuTta hai

sada koi sunai de to kaise

mere ghar mein KHala andar KHala hai

zamana haT chuka pichhe kabhi ka

aur ab to sirf apna samna hai

main chup hun ab use kaise bataun

koi andar se kaise TuTta hai

(799) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Ab Ye Dil Bhi Mera Manta Hai In English By Famous Poet Asif Shafi. Aur Ab Ye Dil Bhi Mera Manta Hai is written by Asif Shafi. Read famous Poem Aur Ab Ye Dil Bhi Mera Manta Hai for youth and Student by Asif Shafi. Free Download Aur Ab Ye Dil Bhi Mera Manta Hai in PDF.