Jhankar Hai Maujon Ki Bahte Hue Pani Se
jhankar hai maujon ki bahte hue pani se
zanjir machal jae qadmon ki rawani se
ek mauj-e-saba bhejun afkar ke zindan ko
jo lafz chhuDa lae pur-pech maani se
kitni hai paDi mushkil din phirte hain aaKHir mein
main ne ye sabaq sikha bachchon ki kahani se
tafsil se likkha tha jab nama mohabbat ka
'ghaalib' ko gharaz kya thi paigham-e-zabani se
ji karta hai mar jaen ab lauT ke ghar jaen
jannat ka KHayal aae gandum ki girani se
KHushbu ko uDane mein ye raat ki chori kyun
puchhe to koi ja kar us raat ki rani se
kis darja munafiq hain sab ahl-e-hawas 'saqib'
andar se to patthar hain aur lagte hain pani se
(1093) Peoples Rate This