Ghazal Mein Dard Ka Jadu Mujhi Ko Hona Tha
ghazal mein dard ka jadu mujhi ko hona tha
ki dasht-e-ishq mein bahu mujhi ko hona tha
use to chand bhi bechaargi mein chhoD gaya
andheri raat ka jugnu mujhi ko hona tha
zara si baat pe ye jog kaun leta hai
tumhaare pyar mein sadhu mujhi ko hona tha
badan ke aur hawale to sab salamat the
magar kaTa hua bazu mujhi ko hona tha
kisi ka karb meri zat se umaDta hai
kisi ki aankh ka aansu mujhi ko hona tha
main ism rakhta hun yari mein gham-gusari mein
har ek zaKHm ka daru mujhi ko hona tha
gharon ko chhoD ke sab hoshiyar kahlaen
watan ki miTTi ka madho mujhi ko hona tha
ye apni apni tabiat ki baat hai 'saqib'
use jo phul to KHushbu mujhi ko hona tha
(839) Peoples Rate This