Bazm-e-suKHan Ko Aap Ki Dil-gir Chal PaDe
bazm-e-suKHan ko aap ki dil-gir chal paDe
'ghaalib' kai chale hain kai 'mir' chal paDe
jannat ki kya bisat ki wo chal ke aaegi
meri taraf to wadi-e-kashmir chal paDe
harakat mein aa gae hain sabhi rang-e-KHal-o-KHat
un ki nazar ke sehr se taswir chal paDe
dekha jo mujh ko aap ki palken jhapak gain
ek jism-e-na-tawan pe kai tir chal paDe
qaidi riha hue the pahan kar nae libas
hum to qafas se oDh ke zanjir chal paDe
toDa nahin hai shaKH se KHush thi bakaoli
hum le ke us ke phul ki taswir chal paDe
pucha kisi ne aap ko jaana hai kis taraf
hum log su-e-wadi-e-kashmir chal paDe
'saqib' hum apne ganw ki barbaadiyon ke baad
is dil mein le ke hasrat-e-tamir chal paDe
(957) Peoples Rate This