TaKHliq
nabud ke kaamil sannaTe mein
zehn-e-afaqi
shor KHayalon ka apne sunta hai
aamaq ki tariki se ubhar kar
nur ka ek aazam zarra
shaq ho ke adam ke sannaTe ko toDta hai
piThon pe hawa-e-shamsi marti hai durre
duri harakat mein aate hain sakit kurre
afkar ka warta bain-un-najm KHalaon mein
aawaz-e-muhib se ghumta hai
suraj ke daraKHshan baatin mein
tariki ka pur-haul hayula kudta hai
shab ki aqlim ke haikal par
kala baadal apna bijli ka sah shanaKHa lahraata hai
KHud se mubariz-andesha
sangin kohsar mein Dhalta hai
jis ki maKHruti choTi se
patal ki gahrai ka KHabt uchhalta hai
fauladi pani maujon ki talwaron se
patthar ki chaTanen kaTta hai
aashob wafur-e-qudrat ka
bahr-e-zaKHKHar ki tah mein palta hai
talbida taulid pe sahil se sarzan
maKHluq kasir-ul-aza ka shewan
tashkil mein hai aamil quwwat ka mansuba
kohre se zahir hota hai ek kashti ka KHaka
mastul ke bal KHamoshi se jo
tufan wasil hota hai
matlub, nihan-KHane mein apne ruh-e-insani
dahshat ki god mein baalida hoti hai
(770) Peoples Rate This