Muqawamat
malbus pahne raat apna zar-nigar
zer-e-jama taz mein laTka hua
us ka siyah
shoale ugalte naliyon ke daere, faulad ke
jannat se dhutkari hui aulad ke
raaton ko chalte karwan
mismar shahron ka dhuan
ahmarin sayyal se chhilke hue
baghon ke hauz
naffat ke shoale zamin par phenkte hain
ras-chakkar ke buruj
ghas ke jhulse hue maidan mein
ek kamar tak barhana
langoT bandhe pahalwan
khelta hai daw-pech
ek na-paida adu se
nahin karta jo us ka samna
(701) Peoples Rate This