Maqsud-ali-diwana
rishte, chahat, shohrat, daulat
tere liye sab be-maya
tara hai kisi ki aankhon ka tu
aur na kisi ka man-jaya
hai dost na koi ham-saya
maidanon se aankhon ki guzarta ek saya
maqsud-ali! maqsud-ali!
diwana hai tu hum ko bata
ya koi wali?
wo roz-e-azal ka dohraya
hai ek saya
jis ki ek duniya hai apni
dahshat ke mehwar par gardan
wo duniya roz o shab mein jo taqsim nahin
KHanon mein baTi taqwim nahin
jo raaz hain hum se maKHfi
us par zahir hain
wo qalb-e-hasti ke andar
hum bahar hain
madum hai wo maujud ho tum
wo la-had hai mahdud ho tum
hasti ke aalam se baala
hargiz wo tum se baat nahin karne wala
wo sannaTe ka harkara hai, honT sile
hai dur kahin, hum sab se pare
kohre mein ghiri aawaz pe apne kan dhare
(ya ghaar-e-qadimi ki sangin tariki mein
bahr-e-aghaz ke pani ka
pur-haul taqatur sunta hai
aur jhuk kar bahte pani se
taron ke zarre chunta (hai
wo roz-e-azal ka dohraya
ek saya hai
jo darham-barham kar dene duniya ko hamari aaya hai
(742) Peoples Rate This