Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_292d936469e25959b63bc0c5f5410543, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jin Ke Zer-e-nagin Sitare Hain - Asif Raza Poetry In English - Darsaal

Jin Ke Zer-e-nagin Sitare Hain

jin ke zer-e-nagin sitare hain

kuchh suna tum ne wo hamare hain

un ke aankhon ke wo kinare do

be-karani ke istiare hain

aansuon ko fuzul mat samjho

ye baDe qimti sahaare hain

jo chamakte the baam-e-gardun par

KHak mein aaj wo sitare hain

garmi-e-shauq ne teri 'asif'

un ke ruKHsar o lab nikhaare hain

(837) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jin Ke Zer-e-nagin Sitare Hain In English By Famous Poet Asif Raza. Jin Ke Zer-e-nagin Sitare Hain is written by Asif Raza. Read famous Poem Jin Ke Zer-e-nagin Sitare Hain for youth and Student by Asif Raza. Free Download Jin Ke Zer-e-nagin Sitare Hain in PDF.