Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_40768be9a00c0724e652c8730199af78, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Be-hunar Hun Ki Hai Zindagi Wabaal Mujhe - Asif Jamal Poetry In English - Darsaal

Wo Be-hunar Hun Ki Hai Zindagi Wabaal Mujhe

wo be-hunar hun ki hai zindagi wabaal mujhe

kamal gar nahin deta to de zawal mujhe

wo bad-guman hua hun ki e'tibar uTha

sadaqaton pe bhi kya kya hain ehtimal mujhe

main apne aap ko pahchanne se Darta hun

tabah kar gai ye gard-e-mah-o-sal mujhe

ghazab hua teri yaadon ne sath chhoD diya

hanuz meri mohabbat hai ek sawal mujhe

ye kya hua ki hawas ki giraft tang hui

main tujh se hath chhuDane ko hun sambhaal mujhe

wo fasle hain ki aankhon mein KHwab nachte hain

mili firaq mein bhi lazzat-e-visal mujhe

wo bewafa hai to is ka bhi gham bahut hai magar

main ba-wafa hun to is ka bhi hai malal mujhe

(758) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Be-hunar Hun Ki Hai Zindagi Wabaal Mujhe In English By Famous Poet Asif Jamal. Wo Be-hunar Hun Ki Hai Zindagi Wabaal Mujhe is written by Asif Jamal. Read famous Poem Wo Be-hunar Hun Ki Hai Zindagi Wabaal Mujhe for youth and Student by Asif Jamal. Free Download Wo Be-hunar Hun Ki Hai Zindagi Wabaal Mujhe in PDF.