Bhule Hue Hain Sab Ki Hai Kar-e-jahan Bahut

bhule hue hain sab ki hai kar-e-jahan bahut

lekin wo ek yaad hai dil par garan bahut

kuchh raftagan ke gham ne bhi rakkha hamein niDhaal

kuchh sadma-ha-e-nau se rahe nim-jaan bahut

hum ko na zulf-e-yar na diwar se gharaz

hum ko to yaad-e-yar ki parchhaiyan bahut

wo sard-mehriyan ki hamein rakh kar gain

sunte hain pahle hum bhi the aatish-ba-jaan bahut

ek mauj-e-fitna-sar ki rawan har nafas mein hai

har dam yaqin se pahle uThe hain guman bahut

ab ke junun mein mauj-e-saba ka bhi hath hai

mauj-e-saba ki ab ke uThi sargiran bahut

ab ye KHabar nahin wo samundar hai ya sarab

apne yahan hai tishnagi-e-jism-o-jaan bahut

sahra se warna apna ilaqa nahin hai kuchh

aashuftagi-e-sar ki hawa hai yahan bahut

(686) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhule Hue Hain Sab Ki Hai Kar-e-jahan Bahut In English By Famous Poet Asif Jamal. Bhule Hue Hain Sab Ki Hai Kar-e-jahan Bahut is written by Asif Jamal. Read famous Poem Bhule Hue Hain Sab Ki Hai Kar-e-jahan Bahut for youth and Student by Asif Jamal. Free Download Bhule Hue Hain Sab Ki Hai Kar-e-jahan Bahut in PDF.