Thin Zaminen Gum-shuda Aur Aasman Milta Na Tha
thin zaminen gum-shuda aur aasman milta na tha
sar pe suraj tha mere par saeban milta na tha
be-natija hi rahi hai har safar ki justuju
DhunDne nikle the jis ko wo jahan milta na tha
manzilen aasan thin aur raste maKHdush the
kashtiyan maujud thin par baadban milta na tha
ghonsle KHali paDe hain aur wahin par aas pas
kuchh parinde the ki jin ko aashiyan milta na tha
gardish-e-dauran mujhe phir ab wahin le aai hai
shahr jo mera tha lekin ham-zaban milta na tha
(785) Peoples Rate This