Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2919260c883d3a85a2e4e4cecc1437db, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Nikli Wo Zindagi Se To Pamal Ho Gaya - Ashraf Shad Poetry In English - Darsaal

Nikli Wo Zindagi Se To Pamal Ho Gaya

nikli wo zindagi se to pamal ho gaya

jaise ruwan ruwan mera kangal ho gaya

bigDa hua hai hijr mein kuchh waqt ka nizam

lamha guzar na paya ki ek sal ho gaya

mushkil hai ye hisab kai hijraton ke baad

achchha hai mera haal ki bad-haal ho gaya

bas yun hi ek ghazal si use dekh kar hui

phir is ke baad pyar ka janjal ho gaya

main jab gulab chum raha tha to dekh kar

chehra kisi ka sharam se kyun lal ho gaya

(811) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nikli Wo Zindagi Se To Pamal Ho Gaya In English By Famous Poet Ashraf Shad. Nikli Wo Zindagi Se To Pamal Ho Gaya is written by Ashraf Shad. Read famous Poem Nikli Wo Zindagi Se To Pamal Ho Gaya for youth and Student by Ashraf Shad. Free Download Nikli Wo Zindagi Se To Pamal Ho Gaya in PDF.