Parde Meri Nigah Ke Bhi Darmiyan Na The
parde meri nigah ke bhi darmiyan na the
kya kahiye un ke jalwe kahan the kahan na the
jis raste se le gai thi mujh ko be-KHudi
us rah mein kisi ke qadam ke nishan na the
raaz-ashna hai meri nazar ya phir aaina
warna wo apne husn ke KHud raaz-dan na the
kuchh be-sada se lafz nazar kah gai zarur
mana lab-e-KHamosh rahin-e-bayan na the
aae to yun ki jaise hamesha the mehrban
bhule to yun ki jaise kabhi mehrban na the
'ashraf' fareb-e-zist hai kab imtihan se kam
is ke siwa to aur yahan imtihan na the
(870) Peoples Rate This