Har Ek RuKH Se Mujhe Lutf-e-justuju Aae

har ek ruKH se mujhe lutf-e-justuju aae

zara wo aur qarib-e-rag-e-gulu aae

maal-e-naz-e-KHudi kya hai ye to samjha dun

jise ho naz-e-KHudi mere ru-ba-ru aae

baghair izn hi saqi ne kar liya qabza

hamare waste jab saghar-o-subu aae

qadam qadam pe hai KHuddari-e-hayat ka Dar

meri zaban pe kya harf-e-arzu aae

teri faza-e-mohabbat ho KHush-gawar itni

nafas nafas se KHulus-o-wafa ki bu aae

hamare dil mein adawat rahegi kya 'ashraf'

nazar jhukae hue jab koi adu aae

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek RuKH Se Mujhe Lutf-e-justuju Aae In English By Famous Poet Ashraf Rafi. Har Ek RuKH Se Mujhe Lutf-e-justuju Aae is written by Ashraf Rafi. Read famous Poem Har Ek RuKH Se Mujhe Lutf-e-justuju Aae for youth and Student by Ashraf Rafi. Free Download Har Ek RuKH Se Mujhe Lutf-e-justuju Aae in PDF.