23-march Azan-e-subh-e-niyaz
wo kya nawa thi
ki jis ki lau se
ufuq raushni ke manzar sanwar gae the
bahaar-e-asar-e-lahn kya tha
ki KHushk shaKHon ke zard chehre
gulab-rangon se dhul gae the
kali kali ke gudaz shanon par KHushbuon ke latif parcham
nae saweron se aashnai ko khil gae the
wahi nawa Dubti shabon mein
azan-e-subh-e-niyaz ban kar
hawa ke honTon pe khelti jab dilon mein utri
to jism ki sarhadon ke us par munjamid tirgi ki shaKHon par
raushni ke gulab ubhre
kiran kiran aaftab ubhre
(844) Peoples Rate This