Bas-ki Didar Tera Jalwa-e-quddusi Hai
bas-ki didar tera jalwa-e-quddusi hai
daman-e-wasl bhi aaluda-e-mayusi hai
hai kahan bu-e-wafa us dahan-e-shirin mein
ghuncha-lab teri zaban hum ne bahut chusi hai
yar go KHun mera misl-e-hina ho pamal
lekin apne tain manzur qadam-bosi hai
dil mera KHak shagufta ho chaman mein ja kar
gul mein ye rang kahan ek teri bu si hai
ek din zulf ke munh par na chaDhi ye kafir
yaad-e-kakul ko faqat shewa-e-jasusi hai
wo saji tegh ki dam mein kare lakhon ko qatl
kaun kahta hai miyan teri kamar mu si hai
shaiKH rota hai ise sun ke barhaman yaksu
pur-asar bas ki mera nala-e-naqusi hai
chashm-e-namnak ne az bas-ki bujhaya us ko
aatish-e-ishq kahan dil mein magar lu si hai
ai 'fughan' ishq kahan dil mein ba-qaul-e-'minnat'
han ye sach milne ki KHuban se to ek KHu si hai
(847) Peoples Rate This