Aks Bhi Kab Shab-e-hijran Ka Tamashai Hai
aks bhi kab shab-e-hijran ka tamashai hai
ek main aap hun ya gosha-e-tanhai hai
dil to rukta hai agar band-e-qaba baz na ho
chaak karta hun gareban ko to ruswai hai
taqat-e-zabt kahan ab to jigar jalta hai
aah sine se nikal lab pe mere aai hai
main to wo hun ki mere lakh KHaridar hain ab
lek is dil se dhaDakta hun ki saudai hai
dil-e-betab 'fughan' ummat-e-ayyub nahin
na use sabr hai hargiz na shakebai hai
(827) Peoples Rate This