Aalam Mein Agar Ishq Ka Bazar Na Hota
aalam mein agar ishq ka bazar na hota
koi kisi bande ka KHaridar na hota
hasti ki KHarabi nazar aati jo adam mein
us KHwab se hargiz koi bedar na hota
kahta hai tujhe KHak na dun ghair-e-aziyat
ye dil mein agar thi to mera yar na hota
malum kise thi ye teri KHana-KHarabi
main jaanta aisa to giraftar na hota
aalam ko jalati hai teri garmi-e-majlis
marte hum agar saya-e-diwar na hota
ai shaiKH agar kufr se islam juda hai
pas chahiye tasbih mein zunnar na hota
zalim mere hasid ki to shadi thi isi mein
yani mujhe dar tak bhi tere bar na hota
dete teri majlis mein agar rah 'fughan' ko
us shaKHs se hargiz koi be-zar na hota
(832) Peoples Rate This