Sham-e-iKHlas-o-yaqin Dil Mein Jala Kar Chaliye

sham-e-iKHlas-o-yaqin dil mein jala kar chaliye

zulmat-e-yas mein ummid jaga kar chaliye

hum se diwane kahan zad-e-safar rakhte hain

sath chalna hai to asbab luTa kar chaliye

ishq ka rasta aasan nahin hota hai

bazi-e-ishq mein jaan apni luTa kar chaliye

raat andheri ho to jugnu ki chamak kafi hai

shart itni hai ki ehsas jaga kar chaliye

nafrat o bughz ka anjam bura hota hai

nafrat o bughz se daman ko bacha kar chaliye

raat saffak hai suraj ko nigal jati hai

apni muTThi mein sitaron ko chhupa kar chaliye

hath ko hath sujhai nahin deta hai 'ashok'

ab charaghon ki jagah dil ko jala kar chaliye

(717) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sham-e-iKHlas-o-yaqin Dil Mein Jala Kar Chaliye In English By Famous Poet Ashok Sawhny. Sham-e-iKHlas-o-yaqin Dil Mein Jala Kar Chaliye is written by Ashok Sawhny. Read famous Poem Sham-e-iKHlas-o-yaqin Dil Mein Jala Kar Chaliye for youth and Student by Ashok Sawhny. Free Download Sham-e-iKHlas-o-yaqin Dil Mein Jala Kar Chaliye in PDF.