Bas Dikha De Rah-e-mai-KHana Koi
bas dikha de rah-e-mai-KHana koi
le chale ya su-e-virana koi
kya mila farzanon mein rah kar mujhe
un se to behtar hai diwana koi
rah-guzar-e-shauq ka hai ye karam
ho gaya apna hi begana koi
aaj ke haalat par likkhun to kya
gar likhun samjhoge afsana koi
main hun aur tanhaiyon ka dasht hai
dard ko mere nahin jaana koi
main ne bhi sikha hai duniya se bahut
sikhe mujh se bhi to gham khana koi
kahte hain 'sahil' se aksar mehrban
hai ghazal ya harf-e-rindana koi
(701) Peoples Rate This