Wirasat
jab andhere se main Dar jata hun ab bhi aksar
teri ungli ko pakaDne ka KHayal aata hai
muskurahaT ho ya aahen ya KHushi ke aansu
har ek ehsas ki lazzat mein samaya hai tu
jab ubharti hai rasoi se rasili KHushbu
jab kisi phul ke chehre pe jamal aata hai
teri ungli ko pakaDne ka KHayal aata hai
meri aawaz zaban aur mera andaz-e-bayan
mere ehsas o KHayalat nazriya imkan
tu ne hi bandhe mere sath ke saz-o-saman
phir bhi gar man mein mere koi wabaal aata hai
teri ungli ko pakaDne ka KHayal aata hai
sham-e-ummid larazti hai sahar se pahle
jab utarti hai thakan dil mein safar se pahle
KHun ho jate hain arman asar se pahle
raste mein koi pechida sawal aata hai
teri ungli ko pakaDne ka KHayal aata hai
(829) Peoples Rate This