Raushnai
kisi guman ka saya na shak ki parchhain
sarab hai na jharoka nazar ki rahon mein
yaqin hai ki andhera faqat andhera hai
fareb-e-nur koi bhi nahin nigahon mein
na intizar ke mani na sabr ke paiman
kisi disha mein ufaq bhi nazar nahin aata
siyahi kali sahi raushnai hai phir bhi
na aae gar koi waraq-e-sahar nahin aata
andhera jitna jawan hai bharose-mand utna
usi ke dam se charagh-e-KHayal raushan hai
irade dil ki tapish le ke jagmagate hain
rah-e-jawab pe husn-e-sawal raushan hai
chalo sitaron ko khojen jala ke mishal-e-dil
ufaq nahin hai to jugnu qatar band karen
sahar ki chah jawan hai to DhunDh len suraj
nahin mile koi suraj kiran kiran se bunen
yaqin hai ki andhera faqat andhera hai
siyahi kali sahi raushnai hai phir bhi
irade dil ki tapish le ke jagmagate hain
(792) Peoples Rate This