Mere Ehsas Mere Wiswas
kahan se aae ye ehsas mere
ki ab jo ban gae wishwas mere
mere jo zawiye hain zindagi ke
mere jo nazariye hain aadmi ke
mere ehsas se paida hue hain
mere wishwas se paida hue hain
magar shayad hai sach kuchh baat ye bhi
meri qadren mere ehsas mere nazariye bhi
mere apne nahin hai mere jo bhi yaqin hain
wo mera ghar nahin hai mera main bas makin hai
mila mahaul bachpan se mujhe jo
jo dhaDkan di gai hai mere dil ko
jo qadre aur jo mazhab mila hai
meri paidaish ka wo silsila hai
mere ehsas ab meri haqiqat
mere wishwas ab meri sadaqat
hua hai qaid pinjre mein mera man
Dhala hai ek sanche mein mera tan
mujhe jo zindagi jini hai apni
mujhe gar DhunDni hai apni hasti
nikalna hoga apni hi hadon se
haqiqat ke bharam ke aasron se
(795) Peoples Rate This