Lahu Rota Hai
sach ka hota hai muhafiz jo niDar hota hai
koi hakim ho KHuda ho ki KHuda ka banda
wo jo masum hai in sab se pare hota hai
man jo changa ho hatheli mein basi hai ganga
zulm se jabr se zulmat se muKHatib ho kar
aankh se aankh milata hai har ek sukh-dukh se
us ki KHamoshi hi elan hua karti hai
us ki aawaz mein chaalen hain na koi dhoke
ho bhale tanha use sena ki darkar nahin
bahu-bal chahiye us ko na koi bhi shamshir
wo qayamat hi qayamat mein jiya karta hai
aaKHiri us ki adalat hai faqat apna zamir
aaj malum hua KHwab ka KHaka tha ye
yun na tha main nen faqat socha tha yun hota hai
qatl ho jati hai insaf ki ummid agar
bhai-chaare ka irada bhi lahu rota hai
(791) Peoples Rate This