Sard-mehri Se Teri Dil Jo Tapan Rakhte Hain
sard-mehri se teri dil jo tapan rakhte hain
hama-tan barf hain aahon mein dhuan rakhte hain
sail-e-gham aankh ke parde mein nihan rakhte hain
na-tawan bhi tere kya tab-o-tawan rakhte hain
farsh-e-rah kis ke liye hum dil-o-jaan rakhte hain
KHub-ru panw zamin par hi kahan rakhte hain
baat mein baat usi ki hai suno tum jis ki
yun to kahne ko sabhi munh mein zaban rakhte hain
jab se dushwar hua sans ka aana jaana
hum nigahon mein jahan-e-guzaran rakhte hain
kis se bedardi-e-ahbab ka shikwa kije
nam be-tabi-e-dil ka KHafaqan rakhte hain
aankh kholi hai to sayyaad ke ghar kholi hai
hum qafas par hi nasheman ka guman rakhte hain
phul bhi munh se jhaDen baat bhi kanTe ki rahe
ye ada aur suKHan-saz kahan rakhte hain
log rote bhi hain turbat mein liTa kar ai 'ashk'
aur sine pe bhi ek sang-e-giran rakhte hain
(855) Peoples Rate This